Baba mere baba..(2)
Haaye,
Shaah ki laadli jab qaidiye zindaan hui
Royi, ghabrai bohot aur pareshaan hui
qaidkhane ki ghutan maut ka samaan hui
jaan lagta tha ke masoom ki bejaan hui
laash shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi
qaidkhane se jo bachi ki sadaa aati thi
Ab mujhe koi sakina nahi kehta baba..(2)
Qaidi kehta hai koi..(2)
koi yateema baba....
Ab mujhe koi...
1. Mai bayaa'n kaisi karu apni musibat tumse
kya karu apne tamacho'n ki shikayat tumse
sunti hu dadi ne khaya tha tamacha baba
Ab mujhe koi...
2. Neel rukhsaro'n pe beenai bhi jiski kam ho
umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho
aap ne dekhi hai kya..(2), aisi zaeefa baba
Ab mujhe koi...
3. Khoon besheer se andaza kiya tha maine
aap ka chehra to pehchaan liya tha maine
aap pehchanoge kaise mera chehra baba
Ab mujhe koi...
4. Aap the door to mai saare sitam sehti rahi
ro padi koofe ke darbaar mein mai seh na saki
aapke saamne jab..(2), jab shimr ne maara baba
Ab mujhe koi...
5. Wo to beemar thi mar jati safar mein aake
dafn karte use bazaar mein bhaiyya kaise
ye to acha hua..(2), aayi nahi sughra baba
haye, sughra baba
6. Meri aankho'n se bahe jaate the aansu us damm
haath bhi maine lagaya nahi daadi ki qasam
dena chaha tha mujhe..(2), logo ne sadqa baba
Ab mujhe koi...
7. Us ghadi dhoondh rahi thi mai chacha jaan ka sar
kaise batlau ke kya guzri teri beti par
mujhko zalim ne kaneezi mein jo maanga bab
Ab mujhe koi...
8. Bayn ye karte hi khamosh hui wo akbar
aaj to jaaenge saath apne mujhe bhi lekar
aap ko meri qasam..(2), kijiye wada baba
Ab mujhe koi...
Baba mere baba..(2)
Haaye,
Shaah ki laadli jab qaidiye zindaan hui
Royi, ghabrai bohot aur pareshaan hui
qaidkhane ki ghutan maut ka samaan hui
jaan lagta tha ke masoom ki bejaan hui
laash shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi
qaidkhane se jo bachi ki sadaa aati thi
Ab mujhe koi sakina nahi kehta baba..(2)
Qaidi kehta hai koi..(2)
koi yateema baba....
Ab mujhe koi...
1. Mai bayaa'n kaisi karu apni musibat tumse
kya karu apne tamacho'n ki shikayat tumse
sunti hu dadi ne khaya tha tamacha baba
Ab mujhe koi...
2. Neel rukhsaro'n pe beenai bhi jiski kam ho
umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho
aap ne dekhi hai kya..(2), aisi zaeefa baba
Ab mujhe koi...
3. Khoon besheer se andaza kiya tha maine
aap ka chehra to pehchaan liya tha maine
aap pehchanoge kaise mera chehra baba
Ab mujhe koi...
4. Aap the door to mai saare sitam sehti rahi
ro padi koofe ke darbaar mein mai seh na saki
aapke saamne jab..(2), jab shimr ne maara baba
Ab mujhe koi...
5. Wo to beemar thi mar jati safar mein aake
dafn karte use bazaar mein bhaiyya kaise
ye to acha hua..(2), aayi nahi sughra baba
haye, sughra baba
6. Meri aankho'n se bahe jaate the aansu us damm
haath bhi maine lagaya nahi daadi ki qasam
dena chaha tha mujhe..(2), logo ne sadqa baba
Ab mujhe koi...
7. Us ghadi dhoondh rahi thi mai chacha jaan ka sar
kaise batlau ke kya guzri teri beti par
mujhko zalim ne kaneezi mein jo maanga bab
Ab mujhe koi...
8. Bayn ye karte hi khamosh hui wo akbar
aaj to jaaenge saath apne mujhe bhi lekar
aap ko meri qasam..(2), kijiye wada baba
Ab mujhe koi...
Ae mere Bhai RAZA-2
Assalamo alaika ya ghareebal ghuraba ya moinaz zoafaye wal fuqara
As sultan Arab E wal ajam
Mola ALI ibna MUSA RAZA.
Ay mere Bhai RAZA-3
AY GHAREEBUL GHURABA AY MERE BHAI RAZA-2
Roke MAASOOMA E QUM-2 qum SE deti hain sada
Ay mere Bhai RAZA
1) Tera deedar nahi Bhai qismat me meri,
De hawaon ko Zara hukm ay mere ALI
Sun lun awaaz teri-2 dil behel jaye mera
Ay mere Bhai RAZA..
Ay GHA
2) Dekhne aayi hun mai qum me Surat teri,
Ay ghareebul ghuraba dekh ghurbat meri,
Koyi batlata nahi-2 mujhko mashhad ka pata.
Ay mere Bhai RAZA.
3) Mujhpe Jo beet gaye wo alam kuch bhi nahi,
Samne ZAINAB k mere gham kuch bhi nahi,
Maina bazaaar gayi-2 na chini meri rida.
4) Jabse pahonchi hun mai qum dil hai qabu me kahan,
Gham zada aaye nazar shehr k peer O jawan,
Dekh kar kaale alam-2 dil dehelta hai mera.
Ay mere..
Ay ghareebul
5) Hun yateema lekin wo yateema to nahi,
Qaidi Baba KI qasam mai SAKINA to nahi,
Jiske gohar bhi chine-2 haye jiska daaman bhi jala.
Ay
GHAREEBUL ghuraba
6) Kis jagah kaante chubhe kis jagah thak k giri,
Poocho chalo se Zara kaise Milo mai chali,
Zakhm pairo k tumhe-2 gham sunayenge mera.
Ay..
Ay ghareebul..
7) Sath jayega mere ye gham e tanhayi,
Tum bhi AKBAR KI tarha nahi laute Bhai,
Roz SUGHRA ki tarha mai jalati hun diya.
8) Qum SE mashad Jo gaya zair e MOLA RAZA,
Ay takallum wo yahi leke paigham chala,
Rasta Teri behen-2 ab takti hai tera.
Ay mere Bhai RAZA
Ay ghareebal ghuraba..
YABNAZ ZAHRA-9
ALLAHUMMA AJJIL LE WALIYEKAL FARAJ.
Al amaa'n-6 ya SAHIBAZ ZAMA'N
al amaa'n-al amaa'n ya SAHIBAZ ZAMA'N-3
Tooti hui hain aaj bhi-2 ZAHRA ki pasliya'n.
Al amaa'n...-2
1) Haq mangne Jo FATEMA darbar me gayin,
Baithe rahe the log kisi ne haya na KI,
ZAINAB KI maa khadi rahi-2
Logo'n k darmiya'n.
Al amaa'n-4
2) Wa hurmata BUTOOL pe kaisi thi wo ghadi
Tumko sadayen deti thi beti RASOOL ki,
Diwar or jalte hue dar k darmiya'n.
Al amaa'n...-4
3) Dhati rahi sitam pe sitam ummat e RASOOL,
Deti rahi azaan e wilayat wahan BATOOL,
ASHADO ANNA ALI UN WALI ULLAH
ZAHRA KI baat sunta-2 nahi tha koi jahan.
Al amaa'n..-4
4) Darbar se jo laut k Binte NABI gayin,
Guzre na us maqaam se MOLA HASAN kabhi,
Jis kooch me giri thi-2 zami'n par HASAN KI maa.
Al Amaa'n.
5) Aabaad hoga phir se wo ujda hua dayaar,
Tab hoga khatm Fatema SUGHRA ka intezar,
AKBAR KI tarha doge-2 madine me jab azaa'n
ALLAH HO AKBAR
Al amaa'n.
6) Tanhayi qaid hurre yateemi andhera Ghar,
Had hai KI koi jabhi NAhi sakta qabr par,
Ab or kitna hoga SAKINA ka imteha'n.
Al amaa'n..-4
7) Kadiyal jawa'n ko roti hai turbat me aaj bhi
AKBAR k to kaleje as barchi nikal gayi,
ZAINAB k dil SE nikli-2 nahi aaj tak sina.
Al amaa'n..-4
8) Bali SAKINA qaid me zinda'n me aaj bhi,
AKBAR hai intezar me beti HUSSAIN KI,
Ab bhi sunayi deti hai-2 bacchi KI hichkiya'n.
Al Amaa'n ya SAHIBUZ ZAMA'N
ALLAH HUMMMA AJJIL LE WALIYEKAL FARAJ
haye abbas haye abbas..(2)
Haye abbas, haye abbas
haye mera abbas..(3)
haaye
ro rahi hai soch kar...(2)
ummul bani ye aaj bhi
asghar e besheer jaisi qabr hai abbas ki..(2)
1. Rashk karti thi mai aksar haider e qarrar par
paaon khat dete the uske baith kar rahwaar par
haye mere sher ki..(2)
ye kaisi halat hogayi
asghar e besheer...
2. Marke bhi usne nibhaya mujhse jo waada kiya
apne bete ki wafa par fakhr hai mujhko bada
ab nahi asghar ki maa se kuch mujhe sharmindagi
asghar e besheer...
3. Baap ke badle musalmano ne bete se liye
sar juda hai tan juda bazu juda hai sher ke
aap ki tasweer tukde..(2)
hogayi hai ya ali
asghar e besheer...
4. Kaun lad sakta tha usse, kisme tha itna jigar
sunti hu nau laakh ne maara hai usko gher kar
laash bhi uski salamat dasht mein rehne na di
asghar e besheer...
5. Kya qad o qamad thi uski, ye use maloom tha
ek gathdi mein simat kar, kaise qasim aagaya
umme farwa jaanti hai..(2)
kya hai meri bekasi
asghar e besheer...
6. Kab samata tha meri chadar mei tu aye mere laal
kar diya hai zalimo ne ye tere laashe ka haal
ye mere sar ki rida bhi tere turbat se badi
asghar e besheer...
7. Keh ke ya abbas karta hai wo ashko se wuzu
darti hu jaari na ho phir uske aankho'n se lahu
saamne abid ke yu..(2)
kehti nahi hu mai kabhi
asghar e besheer...
8. Ro ke karti hai salam unko takallum karbala
Fatima zehra se maa bete ne ki aise wafa
madar e abbas ki turbat bhi hai tooti hui
asghar e besheer...
Darbar haye darbar-2
Haye darbar me ye kehti thi ZAHRA KI ladli
mat maar mere tu labo'n pa mere Bhai k chadi,
Darbar me ye kehti...
Mat maar tu..
Darbar..2
Zalim hai hath jod k ye iltija meri.
Mat maar..
Darbar..
1) Jis din SE hum aseer hain maa sath sath hai,
Chehre pa ab HUSSAIN ke amma ka hath hai-2
ZAHRA sare HUSSAIN SE lipti hai is ghadi.
Mat..
Darbar..
2) Jalti zami'n pe Fatema k dil k chain ko,
Ye zibha Hote dekh chuki hai HUSSAIN ko-2
Mazloom K hai samne beti khadi hui.
Mat..
Darbar
Mat..
3) Ik baar bas aseer saro par nigah kar,
GHAZI tadapta hai Tere har ek waar pr-2
Tadpa raha hai kyu use Marne k baad bhi.
Mat..
Darbar..
Mat..
4) Zulmo sitam SE tera agar dil nahi bhara,
Le khwahare HUSSAIN SE badla HUSSAIN ka-2
De le kuch or mujhko saza taziyano KI.
Mat..
Darbar..
Mar.
5) Zulfe pakad k pusht se kaata gaya ye sar,
Khuli k Ghar tandoor me rakha gaya ye sar,-2
Aisi haye aisi bhi kya NABI k nawase SE dushmani.
Mat..
Darbar..
Mat.
6) Pehle hi sar HUSSAIN ka zakhmi h dekh le
Humse zyada wo sare SHABBIR ne sahe,-2
Bazaar me jo Barse the Patthar abhi abhi.
Mat.
Darbar.
Mat
7) Is sar se ek Baal bhi toota kabhi agar,
Maa raat bhar tadapti thi pehlu me baith kar,-2
Zalim chala na qalb pe (amma k phir churi)-2
8) Binte ALI ka Mir takallum tha ye bayan,
Ab or le na meri khamoshi ka imtehan-2
Ye lab hile to hogi qayamat bapa abhi
Mat maar labo pa mere Bhai k chadi
Darbar me ye kehti thi ZAHRA KI ladli.
Ek nanhi si lahad ran me banate hain HUSSAIN,
Khaak me dusre MOHSIN ko chupate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si..
1) Dalte jate hai ASGHAR k badan par mitti-2
Or khaimo'n ki taraf dekhte jate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si..
2) Marte dum nanhe se hatho'n ne jise thama tha-2
Ab wo daaman ALI ASGHAR se chudate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si..
3) Lash e HUR ne kaha rumaal ye de do jakar-2
Zakhm besheer ka hatho'n se chupate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si..
4) Dhundhne aayenge is lashe ko naiza bardaar,
Chup k bano se ye ZAINAB ko batate hain HUSSAIN.
5) Kaha SUGHRA ne k mar kar to milungi SHEH se-2
Mujhko maloom hai har qabr me aate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si..
6) Lash e ABBAS pe kehti thi ye. ZAHRA roke-2
Utho ABBAS tumhe kab se bulate hain HUSSAIN.
7) Koi ZAINAB ko bula laye Takallum Takallum jakar-2
Barchi AKBAR k kaleje se chudate hain HUSSAIN.
Ek nanhi si lahad ran me banate hain HUSSAIN.
WA hijaba-10
Haye ABBAS Ki behno ne na payi chaadar-5
Sham tak naize pe deti thi duhayi chaadar-2
Haye ABBAS..-2
1) Jiske Baba ne udhayi thi rida kaabeh ko-2
Uski beti k kisi ne na udhai chadar-2
Haye ABBAS..-2
2) Bas yahi kehti thi ABBAS k sar SE ZAINAB-2
Mere Bhai -2 mere Bhai chaadar)-2
Haye ABBAS..-2
3) Sharm se chup gayi SAJJAD k piche ZAINAB-2
Hind zinda'n me Jo odhe hue chaadar-2.
Haye ABBAS..-2
4) Paao'n khat dete rahe door tallak bacchi k
Shimr ne aise SAKINA SE chudayi chaadar.
Haye ABBAS..-2
5) Gir padi khak pe ABBAS Ki maa sadme se-2
Apne bazu SE Jo ZAINAB ne hatayi chaadar-2.
Haye ABBAS..-2
6) Haye roti hue ZAINAB ne kia shukr E KHUDA
Sar pe SUGHRA k NAZAR jisghadi aayi chadar-2.
Haye ABBAS..2
7) Zindagi me na udhai paye magar AABID ne,
Qabr par Bali SAKINA k udhayi chaadar-2.
Haye ABBAS..2
8) Mir SAJJAD Jo loota hua asbaab mila-2
Pehle SAJJAD ne aankho'n se lagayi chaadar.
Haye ABBAS Ki behno ne na payi chaadar-2.
WA hijaba-10.
Ya GHAREEB ya HUSSAIN
Ya GHAREEB..
Suno ay ahle aza dard nak ye manzar
Kisi ne poocha Jo QAIM IMAM se rokar,
IMAM roya karte hain q is maqaam par aakar
To sar ko peet k bole ye SHAHE jinno bashar,
Hai,
Na is maqaam pe q ASKARI ka Chain gire,
Ye wo zami'n hai jahan zeen se HUSSAIN gire.
Na is....-2
Ye wo...
Maqaam e SAHIB AZ ZAMAAN hai ye-4
1) Isi maqaam pe ab tak faraat roti hai,
Gale lipat k qaza se hayaat roti hai,
TAMAM karbobala sath sath roti hai
Hai ek maa yaha sari raat roti hai.
Na..
Ye..
Maqaam..-2
2) Isi maqaam se GHAZI ko SHEH ne di thi sada,
Na dekha tumne hamari ladayi ko bhaiyya,
Ye keh rahe the k bas hurmala ka teer laga,
GHAREEB E ZAHRA yahan zeen par sambhal na saka.
Na.
Ye wo..
Maqaam..-2
3) Har ik IMAM ko khoo'n is jagah rulaya gaya,
Jo shamiyo'n k tha bas me wo zulm dhaya gaya,
Yahan pe gher k tishna dahan ko laya gaya,
Gira kahan yahan mazloom ko giraya gaya.
Na..
Ye wo..
Maqaam..-2
4) Ajeeb haal me dekha tha SHAH ko maa ne,
Na maut aati thi na saas itne zakhmi the,
Isi maqaam pa ZAHRA ne apne bete k,
Badan se teer nikale the apne hatho'n SE.
Na..
Ye wo..
Maqaam..-2
5) Yahi pa shimr ne socha ho kaise andaza,
KI mar gaya hai ya zinda hai dil bare ZAHRA,
Khayam loot lo ZAINAB k Di phir usne sada,
Tadap k uthte the ZAINAB k naam par MOLA.
Na.
Ye wo..
Maqaam..-2
6) ALI k laal k aankho me tha wahi manzar,
Gire the jis jagah barchi k waar se AKBAR,
Jawan laal ko rone KI aarzoo lekar,
Yahi SE ghutniyo chalte hue gaye SARWAR.
Na..
Ye wo
Maqaam..-2
7) Chale the ghutniyo AKBAR KI lash tak MOLA,
Yaha SE aage takallum bayan HO kya bhala,
GHAREEB kaise bhala qatl gah tak pahoncha,
Yahi se zulfe pakad kar layeen le k chala.
Haye baba, haye baba...
subbat alayya masaeb un law annaha
subbat alal ayyame sir na laya leya
Haye baba, haye baba...
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3)
fir wo jalta hua darr..(2)
mujhpe giraya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Raakh thi, shole the, sehme hue bache ya dhua'n
mere aangan me tha ek shaam e ghareeba ka samaa
darr hata kar mujhe, fizza ne uthaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Haye laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
meri zainab ko meri peshi ka pehla nauha
mere baalo ki safedi ne sunaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Haye le chale qaidi banakar jo ali ko dushman
maine chhoda nahi haider ki abaa ka daaman
taziyano ne magar mujhse chudaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3)
Haye baithkar padhti hu mushkil se namaz e shab bhi
phir bhi awaaz ki khilqat ki dua bhooli nahi
jab bhi zakhmi hue haatho'n ko uthaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3)
Zakhmi haalat mein bhi dehleez se bahar aayi
aur aliyun waliyullah bacha kar laayi
ehed jo maine kiya tha wo nibhaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3)
Kaunsa darr hai jaha'n aapki beti na gayi
arey, baat sunna to kuja yu hui izzat meri
koi darwaze se bahar nahi aaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
khud ye dekha hai tere shehr ki deewaro ne
aisi ghurbat thi ke haatho'n mein sitamgaro ne
rassiya'n baandh ke haider ko phiraya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Haye jis jagah aapne ruk ruk ke ijazat maangi
waha'n gustaakh musalmano ne baiyat maangi
arey koi shole to koi lakdiya'n laaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Arsh aur farsh pe mohsin hua kohraam bapa
jis ghadi roke wilayat ki shahida ne kaha
haye, mujhko has haske zamane..(2) ne rulaya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2)
Haye baba...
haye baba, haye baba..(2)