Weqaare deen e khuda hai, hussain ka matam
Payambaro ne kiya hai, hussain ka matam
Weqaare deen...
1. Zamana laakh mukhalif ho, ruk nahi sakta..(2)
ke fatema ki dua hai, hussain ka matam
2. Yazeed isse badi aur kya hai teri shikast..(2)
ke tere ghar me bapa hai, hussain ka matam
3. Khuda, rasool, farishte, imam sab hai wahan..(2)
jahan kahin bhi bapa hai, hussain ka matam
4. Khabar nahi hai ye fatwe farosh mufti ko..(2)
ali ke ghar se chala hai, hussain ka matam
5. Kisi bhi ghayr ke darr par wo kaise phaylega..(2)
jo haath karta raha hai, hussain ka matam
6. Aye binte fatema zehra teri ataa ke tufayl..(2)
hame naseeb hua hai, hussain ka matam
7. Baroz e hashr khabar lenge uski payghambar..(2)
jise khabar nahi kya hai, hussain ka matam
8. Wilaye aale nabi ki tarha se mir hasan..(2)
mere lahu me mila hai, hussain ka matam
Weqaare deen e khuda hai, hussain ka matam..(2)