Go to ShiaDuas.com

Mir Hasan Mir 2000

haq ka irfaan jo paaya to ali yaad aaya
dil me quraan samaaya to ali yaad aaya

aadam o nuh payambar ho ya hazrat isa
yunus o khizr ho ilyaas ya hazrat musa
waqt in par bhi jo aaya to ali yaad aaya

ghar tha allah ka maujud makin koyi na tha
koyi aayega yahaan ye bhi yaqeen koyi na tha
dar jo diwaar me aaya to ali yaad aaya

senkaro sur mathe aur pahelwaan hazaar
jo the khaibar me sabhi yaar magar mere yaar
mard ka zikr jab aaya to ali yaad aaya

jism ek ek se do tukre baraabar dekhe
khun ki barsaat huwi urhte huwe sar dekhe
ran me abbas jab aaya to ali yaad

neza o tir o tabar kya koyi khanjar na mila
laakh dhundha kahi kuffar ka lashkar na mila
saaf maidaan nazar aaya to ali aaya

apna kuch hosh na tha itni pareshaani thi
ghame dunya ne mujhe gher liya tha phir bhi
haath momin se milaaya to ali yaad aaya

yun to mein rat ta raha saare sawaal aur jawaab
par naqirein ne turbat me mujhe behre hisaab
aa ke jis waqt jagaaya to ali yaad aaya

zikr nabiyon ka suna khub ya ke baare digar
mein nuseri to nahi kheir se wallah magar
zikr allah ka aaya to ali yaad aaya

jo ke aqwaale payambar ko bhulaa bethe the
ham ali ko bhi nahi jaante jo kehte the
un ko miti me dabaaya to ali yaad aaya

qalbe baatil ko kayi tukron me bat te dekha
takht kya chiz hai darbaar ulat te dekha
khutba zainab ne sunaaya to ali yaad aaya

shabe meraaj ajab baat huwi ya gohar
sun ke aawaaze khuda chonk uthe payghamabar
jab nazar kuch nahi aaya to ali yaad aaya

Karbobala nassib se jana
Nassib ho karbobala nassib se jana

Phir laut kar wahan se na aana
Nassib ho

Aisa dare Hussain pe sajda ho akhri x2
Phir mujhko apna sar na outhana

Karbobala nassib se jana
Nassib ho karbobala nassib se jana

Phir laut kar wahan se na aana
Nassib ho

Aisa dare Hussain pe sajda ho akhri x2
Phir mujhko apna sar na outhana

Muala ali ali..(4)
Deen ka daata jagat ka malik sabka palanhaar
Muala ali ali..(4)

1. Tere siwa woh kaun hai jiske dar pe taara utra hai..(2)
dharti se aakash talak bus tera sikka chalta hai
mere maula,
suraj tere hukm se nikla ek din me do baar

2. Tere charan ki dhool ke aage kya chandi kya sona hai..(2)
dharti chaand sitare sab kuch tere husn ka sadqa hai
tera paseena,
tere maathe ka hai paseena nabi wali awtaar

3. Meesam salma'n aur abuzar sab humko pehchane hai..(2)
tere gali ke mangte hai hum qambar humko jaane hai
bhejde maula,
bhejde ab hasnain ka sadqa karde beda paar

Wafa Jis Ka Parhe Kalma Usse Abbas Kehte Hain
Jise Sajdain Kare Sajda Usse Abbas Kehte Hain

Who Pyaasa Pyaas Ne Jis Ki Kiya Sairaab Darya Ko
Hai Jis Ki Pyaas Bhi Darya Usse Abbas Kehte Hain

Lagaye Jo Bagair-e-Taig Ki Anbaar Laashoon Ke
Jo Hai Paikar shuja’at Ka Usse Abbas Kehte Hain

Jo Hai Shabbir Ki Quwat Ali Ko Naaz Hai Jis Per
Jisse Zehra Kahe Beta Usse Abbas Kehte Hain

Jo Tha Shabbir Ka Khadim Mager Sab Sahebaan-e-Dil
Usse Aaqa Usse Maula Usse Abbas Kehte Hain

ShiaLink

place holder