Asghar ho tum kahaan
(Ay Aliasgher, Ay Aliasgher) x2
- Maqtal Mai Baithi Khaak Par, Nawha Kunaa Hai Maa
- Jhulaa Jalaa Toh Jalgaye, Armaan Bhi Mere
- Bikhde Huwe Yeh Chaand, Sitaare Zameen Pe Hai
- Do Chaar Din Bhi Zindaa Nahi, Reh Sakungi Main
- Maqtal Se Kaafle Ko, Guzaraa Gaya Thaa Jab
- Majlis Wahin Pe 'Meer Takallum' Bapaa Huwi
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2
Mai Jee Rahi Thi Ek Hi, Hasrat Liye Huwe
(Dulha Tumhe Banaaungi) x2 Kab Honge Tum Jawaan
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2
Zindaa Nahi Hai Koi Magar, Sab Yahin Pe Hai
(Ik Teri Laash Hii Nahin) x2 Laashon Ke Darmiyaan
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2
Itna Teri Ghareebi Pai, Matam Karungi Mai
(Ay Laal Mere Haathon Ki) x2 Khulwaade Rassiyaan
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2
Pyaaron Ko Apne Deten The, Rokar Sadaaen Sab
(Ye Kehte Kehte Bandh Gayi) x2 Baano Ki Hichkiyaan
(Asgher Ho Tum Kahaan, Asgher Ho Tum Kahaan) x2
Maa Turbate-Saghir Par, Kehti Thi Jis Ghadi
(Jaata Hai Su-e-Shaam Ab) x2 Lutkar Ye Kaarwaan

Awaaz To Dey Akbar
(Aina Ali-Akbar) x4
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x2
- Kariyal Jawaan Ki Laash Par, Kehta Rahaa Rokar Padar
- Girtaa Huwa Uthtaa Huwa, Haan Khogaya Hun Mai Magar, Gum Hogaya Nure Nazar
- Tu Nawjawaan Hai Akbar, Aur Hai Zaaef Baba
- Aayi Sadaa Jidhar Se, Mai us Taraf Barhunga
- Sughra Ke Naamwar ko, khat ka jawaab kya du(n)
- Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi
- Barchhi Se Bas Kalejaa, Tera Nahi Chhidaa Hai
- Kaise Bayaan Karun Mai, Woh Dardnaak Manzar
- Laashe Ke Dono Jaanib, Baithi Hai Maaen Dono
- Teri Sadaa Ko Sunkar, Woh Phir Se Jee Uthegi
- Akbar Janaabe Akbar, Khaamosh Ho Gaye The
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x2
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Tu Nawjawaan Hai Akbar
Kaise Uthaaun Mayyat, Mujhko Toh Bataade Itna
Jaana Hai ab Khayyaam Tak, Kaise Karun Mai Yeh Safar
Kham Hogayi Mari Kamar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Aayi Sadaa Jidhar Se
Awaaz Sunte Sunte, Tujhe Ran Mai Dhundh hi lunga
Tu Hai Jidhar Pyaare Mere, Dheere Se Yeh Kehte Huwe
Baba Idhar, Baba Idhar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Sughra Ke Naamwar ko
Jo Muntazir Hai Usko, Barchhi Ka Haal Sunadun
Raste Se Ab Nazren Hata, Maara Gaya Bhaai Tera
Kya Bhejdun Usko Khabar haaye
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Teri Sadaa Ko Sunkar
Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi
Sine Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se
Ek baar himmat Jor Kar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Barchhi Se Bas Kalejaa
Maqtal Mai Fatema Ne, Dil apnaa Thaam Liya Hai
Bhaai Hassan Nana Nabi, Baba Ali Daadi Teri
Mawjud Hai Sab Hi Idhar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Kaise Bayaan Karun Mai
Sakhte Mai Thi Khudaai, Rota Tha Saara Lashkar
Jab Fatema Ke Laal ne, Haathon Pe Lekar Khaak Se
Rakh Kar Kahaan Zaanun Pe Sar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Laashe Ke Dono Jaanib
Sine Pe Bosen Dekar, Leti Hai Malaaen Dono
Zainab Idhar Laila Idhar, Chume Tera Zakhmi Jigar
Inse Toh Koi Baat Kar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Teri Sadaa Ko Sunkar
Hamshir Teri Warna, Shaayad Nahin Jee paayegi
Sine Ki Barchhi Thaamke, Sughra Ko Uske Naam Se
Ek baar himmat Jor kar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x3
Akbar 'Janaabe Akbar'
Shabbir Sar Jhukaaye, Laashe Ke Paas Khade The
Zainab Kabhi Laila Kabhi, Behnne Kabhi Kabhi Naamwar
Kehta Rahaa Yeh Saara Ghar
(Awaaz To Dey Akbar, haaye) x5
Din dhala toh
(Haaye Shaam-e-Gharibaan) x2
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
- Zulm Zainab Pe Dhaane Ko Shaam Aagayi
- (Sab Ko Bichhde Huwe Yaad Aane Lage) x2
- (Suuni Ho Ujri Maang Aur Atash Ki Sadaa) x2
- (Kaun Roke Na Akber Na Abbas Hai) x2
- (Aarahe Hai Sakina Ke Jaanib Aduu) x2
- (Koi Aaya Na Laashon Pe Rone Ko Jab) x2
- (Saamne Hai 'Nazir' Eik Jaltaa Makaam) x2
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Phir Dukhe Dil Dukhaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Sab Ka Sabr Aazmaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Sheh Ke Khaime Jalaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Kya Tamaache Lagaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Khud Hii Aansun Bahaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
Kya Bataawun Zamaane Ko Shaam Aagayi
(Din Dhalaa Toh Rulaane Ko Shaam Aagayi) x2
ya qatile jafaa, ya hussein-e-shaheed
ya hussein, maula hussein..(2)
main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)
hai khushk gala mera..(2)
aur saamne hai dariyaa, haaye
main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2)
1. Tumne toh sadaa apne
pehlu mai sulaaya hai
jab pyaas lagi mujhko
khud paani pilaya hai
seh roz se ab maine..(2)
paani hi nahi dekha, haaye
2. Khanjar meri gardan par
ab shimr chalaega
amma yeh samaa tumse
dekha nahi jaega
jalti hui reti par..(2)
karna hai mujhe sajdaa, haaye
3. Zakhmon me mere amma
hai ret bayabaa ki
jalta hua sehra hai
saaya bhi nahin koi
mai maalik e kausar hu..(2)
hai phir ye sitam kaisa, haaye
4. Ab ham nahin aayenge
zainab ko bata dena
masoom sakina ko
tum paani pila dena
hargiz na pukarega..(2)
ab aap ka yeh beta, haaye
5. Har haal me darya par
abbas ko jaana tha
yeh mashke sakina toh
bas ek bahaana tha
dil Uska bhi jalta tha..(2)
ghazi bhi samajhta tha, haaye
6. Hamshakle payambar ne
jis dam se azaan di hai
Uss dam se laeenon ne
mohlat hi nahin di hai
ab aap ki godi me..(2)
hai yaad mujhe aaya, haaye
7. Bachpan se yeh aadat thi
jab pyaas mujhe lagti
bin maange hue ghazi
ley aata thaa khud paani
le aae zara paani..(2)
ghazi ko sadaa dena, haaye
8. Kausar pe mera lashkar
jis waqt gaya hoga
har chhota bada jaakar
baba se milaa hoga
har ek ne yeh jaakar..(2)
Unse bhi kahaa hoga, haaye
9. Aye "meer takallum" ho
manzar tha bhalaa kaisa
royi jo nabi-zaadi
ek shor e qayaamat tha
jab chalne lagaa khanjar..(2)
kehte hi rahe maulaa, haaye
Mei parda-e-ghaibat se
(Anaa Yabna-Zahra, Anaa Yabna-Zahra) x2
Imam Parda-e-Ghaibat Se De Rahe Hai Sadaa
Anaa Yabna-Zahra, Anaa Yabna-Zahra
Nazar Mai Rehti Hai Har Waqt Mere Karbobala
Anaa Yabna-Zahra, Anaa Yabna-Zahra
Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
- (Sajjad Ke Khaimon Ka) x2 Dhuwan Dekh Raha Hun
- (Zainab Chali Jis Aag Mei Aabid Ko Bachaane) x2
- (Jis Sar Pe Sajaa Karti Thi Dastaare-Muhammad) x2
- (Bas Teer Hai Chalne Ko Ab Asghar Ke Gale Par) x2
- (Jis Rukh Ke Liye Karte The Bosse Shahe Waala) x2
- (Maqtal Mei Kahaan Saani-e-Zehra Ki Ridaa Hai) x2
- (Aaye Na Watan Laut Ke Phir Aun-o-Muhammad) x2
- (Maa Baap Behen Bhaayi Phuphi Aur Aizzah) x2
- ('Gohar' Hai Jahaa(n) Dafn Saqeefa Ki Shaheeda) x2
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Uss Raat Mei Pairon Ke) x2 Nishaan Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Uss Sar Ko Sare Noke) x2 Sinaa Dekh Raha Hun
Main Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun x 2
(Zaalim Ki Mei Khamraa) x2 Kamaa Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Uss Rukh Pe Tamaachon Ke) x2 Nishaa(n) Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Abbas Ke Baazu Hai) x2 Kahaan Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Ujraa Huwa Zainab Ka) x2 Makaa(n) Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Ik Teer Mei Kitno Ki) x2 Mei Jaan Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
(Uss Qabr Ko Benaamo) x2 Nishaan Dekh Raha Hun
(Mei Parda-e-Ghaibat Se Samaa Dekh Raha Hun) x2
Anaa Yabna-Zahra, Anaa Yabna-Zahra, Anaa Yabna-Zahra
Shaam ki aurton
Shaam Ki Aurton Eik Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2
- (Jab Talak Laut Kar Mai Na Aaun) x2 Aake Shamma Jalaaogi Tum
- Surate Shahe Dee(n) Bekafan Bhi, Mere Jaisi Aseer-e-Mehen Bhi
- Eik Yasrab Ki Thi Shaahzaadi, Uska Saqqa Tha Abbas Ghaazi
- Hamne Zindaan Se Paayi Rihaai, Ab Behen Paas Hogi Na Bhai
- Jab Kabhi Qaid Khane Main Aana, Beridaa Bibiyon Ko Na Laana
- Qabre Bekas Pe Aansun Bahaane, Haal Qaide Sitam Ka Sunaane
- Shaamiyon Ki Bahu Betiyon Se, Keh Rahi Thi Woh 'Akber' Yeh Roke
(Shaam Ki Aurton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum) x2
Khaali Kurte Mai Madhfun-e-Ghurbat, Misl-e-Asghar Rahi Bekafan Bhi
Kya Kafan Ki Tarah Roz Chadar, Iss Lahad Par Chadhaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Mashq Laikar Gaya Su-e-Dariyaa, Aur Qabze Mai Karli Taraayi
Loriyon Mai Yeh Sachi Kahaani, Roz Isko Sunaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Baat Itni Si Bas Yaad Rakhna, Meri Bacchi Hai Gham Ki Sataayi
Tumne Bazaar Main Toh Sataaya, Ab Na Isko Sataaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Tumko Asghar Bhi Dega Duaaen, Iski Tanhaiyaan Yun Mitaana
Chhote Chhote Se Baccho Ko Laakar, Paas Iske Sulaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Qaafla Karbala Ko Chalaa Hai, Iske Baba Ka Chehlum Manaane
Itna Kehdo Hamaari Taraf Se, Iska Chehlum Manaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
Yeh Amaanat hai Pardesiyon Ki, Kar Rahi Hun Tumhaare Hawaale
Mujhse Ik Baar Bas Itna Kehdo, Apna Waada Nibhaaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo, Roz Qabre Sakina Pe Aaogi Tum
Shaam Ki Auraton Ek Waada Karo
(Haaye Mere Abbas) x4
(Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi) x2
Aale-Imraan Kahaan, Aur Zindaan Kahaan
Ye Behen Qaid Huwi, Tu Na Aaya Ghazi
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
1. Hamko Paani Na Mile, Teri Khushbu Toh Rahe
Tere Baazu Na Kate, Chaahe Mashkiza Chhide
Yeh Magar Ho Na Saka, Tere Baazu Hai Judaa,
Mujhpe Hai Tashna-Labi, Tu Na Aaya Ghazi
2. Dhup Mai Tu Thaa Shajar, Tujhse Aabaad Thaa Ghar
Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahin Tujhko Khabar
Ay Alamdaare-Wafaa, Is Behen ko bakhuda
Tujhse Dhaaras Thi Bari, Tu Na Aaya Ghazi
3. Aagayi Shaam-e-Alam, Lutgaye Ehle-Haram
Ret Par Jalti Huwi, Hogaya Thanda Alam
Pursaa Dene Ke Liye, Mujhse Milne Ke Liye
Aagaye Baba Ali, Tu Na Aaya Ghazi
4. Kya Kahun Sher Mere, Beridaa Hamko Liye
Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr dar Shehr Gaye
Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Shaam Kabhi
Aur Haa(n) Ham Pe Hassi, Tu Na Aaya Ghazi
5. Kitni Bebas Thi Behen, Ai Shehenshaahe Wafaa
Naam Leleke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kahaa
Naaz Tha Jispe Tujhe, Ab Bulaaona Usse
Aur Mai Roti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
6. Qaid Khaane Mai Qazaa, Jab Sakina Ko Mili
Deke Kurte Ka Kafan, Bacchi Dafnaayi Gayi
Us Ghari Naam Tera, Surate Naade-Ali
Dukh Mai Dohraati Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
7. Roya "Rehan" Kalam, Karke Yeh Baat Raqam
Khun Mai Dub Gaya, Mere Ghazi Ka Alam
Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khun-Fishaan Shah Ka Sar
Aaye Khaimon Mai Shaqi, Tu Na Aaya Ghazi
Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi
(Tu Na Aaya Ghazi) x2
Ye kon si basti hai
(Shaam Haaye Shaam) x 4
(Hai Sab Ki Jolion Me Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza) x3
(Hotaa Hai Charaaghaan Kyun Ghar Ghar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizaa
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
- Puchho Toh Zaraa Amma Inse, Kyun Dekhne Hamko Aate Hai
- Sajjad Ki Aankhon Se Ab Tak, Aansun Hi Baraste Dekhe The
- Baaghi Aaye Baaghi Aaye, Ye Kaisi Manaadi Hoti Hai
- Ham Sab Ke Saron Se Behte Hai, Kis Waaste Yeh Khun Ke Dhaare
- Waada Jo Kiyaa Thaa Yasrab Mai, Aata Hai Yaad Wahin Waada
- Quraan Sunaate Jaate The, Shabbir Sare Naouke Nezaa
Har Simpt Khushi Ka Aalam Hai, Bazaar Sajaaye Jaate Hai
(Kyun Eid Ke Jaisa Hai Manzar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
Ab Dekh Rahi Hun Mai Uski, Aankhon Se Musalsal Khun Behte
(Puchho Toh Kisi Se Yeh Jaakar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
Lagta Hai Zamaane Baad Koi, Is Shehr Mai Shaadi Hoti Hai
(Kuch Aise Saje Hai Baamo-Dar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
Koi Qaul Sa Paani Phenktaa Hai, Koi Phenk-rahaa Hai Angaare
(Sab Milkar Maarte Hai Pathhar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
Mehsus Mujhe Yeh Hota Hai, Tak-taa Hai Koi Mera Rastaa
(Kya Sheereen Ka Hai Paas Mai Ghar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza
Rotaa Tha 'Taqallum' Ibne Ali, Jab Puchhti Thi Binte Zehra
(Kyun Girtaa Hai Abbas Ka Sar) x2 Ye Koun Si Basti Hai Fizza
(Shaam Haaye Shaam) x2 Hai Sab Ki Jolion Mai Pathhar, Ye Koun Si Basti Hai Fizza