Go to ShiaDuas.com


Hussaini Shayari

Islam zinda hota hai har karbala ke baad..

islam zinda hota hai har karabala ke baad
Har ibtidaa se pehle har inteha ke baad,
Zaat-e-Nabi buland hai, zaat-e-Khuda ke baad,
Duniya main ehtraam ke qaabil hain jitne log,
Main sab ko maanta hoon magar mustafa ke baad,
Qatal-e-hussain assal main marg-e-yazeed hai,
Islam zinda hota hai har karbala ke baad..

Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha..
Hussain tum nahin rahe tumhara ghar nahi raha,
Magar tumhare baad zaalimon ka ddar nahi raha..

Na pooch mera hussain (as) kya hai ..

Na pooch mera hussain (as) kya hai ?
Jahan-e-azme wafa ka paikar,
Khrad ka markaz, junoon ka mehwar,
Jamal-e-zehra (as), jamal-e-haider (as),
Zameer-e-inssan, naseer-e-daawar,
Zameen ka dil, asmaan ka yaavar,
Dayar-e-sabro reza ka dilbar,
Kamal-e-eessar ka payambar,
Shaoor-e-aman –o-sukoon ka paykar,
Jabeen-e-insaaniyat ka jhoomar,
Arab ka sehra, ajam ka zewar,
Hussain (as) tasweer-e-ambiya hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) ahl-e-wafa ki bastee,
Hussain (as) aayeen-e-haq parsatee,
Hussain (as) sidq-o-safa ka saathee,
Hussain (as) chashme ana kee mastee,
Hussain (as) pesh-az- adam tasawoor,
Hussain (as) baad az qayam-e-hastee,
Hussain (as) ne zindagee bikheree,
Faza se warna qaza barastee,
Urooj-e-haft, aasmaan-e- azmat,
Hussain (as) ke naqsh-e-pa ki masti,
Hussain (as) ko khuld me na dhoondo,
Hussain (as) mehnga, hai khuld sastee,
Hussain (as) maqsoom-e-deen–o-imaan,
Hussain (as) mafhoom-e- “hal ata” hai,
Na pooch mera hussain (as) kya hai?
Hussain (as) dil hai, hussain (as) jaan hai,
Hussain (as)quraan kee zaban hai,
Hussain (as) irfaan kee saltanat hai,
Hussain (as) sarkaar –e-do jahan hai,
Hussain (as) sajdon kee sar zameen hai,
Hussain (as) zahnon ka asmaan hai,
Hussain (as) zakhmo bharee jabeen hai ..

Is Qadar Roya Main Sun ke Dastan-E-Karbala..

Is Qadar Roya Main Sun k Dastan-E-Karbala,
Main To Hindu Hi Raha, Aankhein Hussaini Ho Gayin…

Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain..

Kya sirf musaaan ke pyaarey hain Hussain,
Chiraag-e-noh bashar ke tarey hain Hussain,
Insaan ko baidaar to ho lene do zara tum,
Har qaum pukaarey gi hamarey hain Hussain..

Jahan Jahan Uthi Nazar, Hussain Hi Hussain Hain..

Jahan Jahan Uthi Nazar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Shajar Shajar, Samar Samar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Zameen Se Aasman Talak Nazar Gayi Jahan,
Dua Dua, Asar Asar,
Hussain Hi Hussain Hain,
NABI ki Pusht-e-Pak Ho,
Ya Karbala Ki Khaak Ho,
Ghuroor-e-Sajda Jis Ka Sar,
Hussain Hi Hussain Hain,
Jo Zair-e-Taigh, La-Ilah
Kaha To Keh Utha Khuda,
Hai Jis Pe Mujh Ko Naaz Woh,
Hussain Hi Hussain Hain,
Kata Ke Sar, Luta Ke Ghar,
Karay Jo Sajda Khaak Par,
Zameen Pe aisa Moa’tbar,
Hussain Hi Hussain Hain..

Nawaasa Rasool to saarey jahan ka hai

Naa shiyon ka hai, Na suniyon ka hai,
Nawaasa Rasool to saarey jahan ka hai,
Na jhukaya sar pal bhar ke liye yazeed ke samne,
Salaam tujh per aye Hussain sarey jahan ka hai,
Bachaya jis deen ko bari qurbaani de kar,
Aaj wohi deen-e-Mohammadi sarey jahan ka hai,
Band kardiya jis darya ke pani ko,
Qasoorwaar wohi firaat sarey jahan ka hai..

Saawan bhi manaya hai moharam ki tarah
Ab ke saawan bhi manaya hai moharam ki tarah,
Chashm garyaan bhi rahi hijar ki barish mein shareek..

Humko Ali ke ishq ne aala bana diya

Humko Ali(as) Ke Ishq Ne Aala Banaadiya!!!!
Qatra Tha Hussain(as) Ne Dariya Bana Diya!!!!
Jab Maatami Libhaaz Kiya Humne Zeb-E-Tan!!!!
Humko Gham-e-Hussain(as) Ne Kaaba Banadiya!!!

Ronay wala hoon Shaheed-e-Karbala

Ronay wala hoon Shaheed-e-Karbala key gham men main,
Kya durey maqsad na dengey Saqiye Kausar mujhey

Awaz de Rahee Ha Ye Karbla Ki Zameen

Awaz de Rahee Ha Ye Karbla Ki Zameen…
Bus Kuch Din Reh Gae Ha Shikast e Yazeed Ko…

Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney

Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Hasher Tak Koi Yazeede Sar Utha Sakta Naheen
Jis Ka Mutlab Zindagee Bher Deen Chuka Saktna Naheen
Fatima Key Lal Ney Aehsaan Aesa Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Ker Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Teri Qurbanee Sey Pehley Deen Ko Aya Na Chain
Umbeya Sey Bhee Mukamal Jo Na Ho Paya Hussain
Ek Sajdey Ney Tarey Woh Kaam Pora Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Aajj Bhee Nazan Wafaein Hain Tarey Abass Per
Neahr Per Ghazi Key Donoon Kat Gaye Bazo Mager
Ta-Abad Islam Key Percham Ko Ouncha Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Maar Key Ibn-E-Ali Ko Cheeni Zenab Ki Rida
Jab Para Kalma Nabee Ka Phir Sar-E-Kabubala
Aaal-E-Ahmad Key Liye Kyuon Hashar Berpa Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Naaz Senoon Key Sinnah Per Ubhrah Tha Jawad Jo
Kasey Bholey Ga Zamana Fatima Key Chand Ko
Sar Kata Key Us Ney Apna Youn Ujala Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Day Key Saar Shabeer Ney Islam Zinda Ker Diya
Karbala Ko Jis Key Sajdey Ney Mu-Allah Ker Diya

Shah Ast Hussain, Badshah Ast Hussain
Deen Ast Hussain, Deen Panah Ast Hussain
Sar Dad, Na Dad Dast, Dar Dast-E-Yazeed
Haqaa Key Binaey La Ila Ast Hussain
(Khwaja Moinuddin Chisti)

Islam Ke Daman Men Bas Is Ke Siva Kya Hai
Ek Zarb-E Yadulla Hi Ek Sajda-E Shabbiri
(Allama Muhammad Iqbal)

Haqq O Batil Ki Hai Paikar Hameha Jari
Jo Na Batil Se Daren Hain Vahi Shi?an-E Hussain
(Muhammad Ali Jauhar)

Qatl-E Hussain Asl Men Marg-E Yazid Hai
Islam Zinda Hota Hai Har Karbala Ke Ba?d
(Muhammad Ali Jauhar)

Jo Zulm Peh La?nat Na Kare, Aap La?een Hai
Jo Jabar Ka Munkir Nahi, Woh Munkire Deen Hai
(Faiz Ahmed Faiz)

Aankhon Ko Koi Khwaab

Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De
Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De
Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne
Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De

Karbala Walon Ka Gham

Karbala Walon Ka Gham Ghar Ghar Main Manaya Jaye Ga
Maqsad-E-Shabeer Aalam Ko Bataya Jaye Ga
Yaad Ker K Jo Na Roya Karbala Walon Ki Pyaas
Qabar Se Tishna Wo Mehshar Main Uthaya Jaye Ga

Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai

Kat Kay Bhi Sab Se Jo Ooncha Hai Wo Sar Kis Ka Hai
Lut K Abaad Hai Ab Tak Wo Jo Ghar Kis Ka Hai
Takht Walon Ne Muar?rikh Bhi Khareede Honge
Zikr Dunia Main Magar Shaam-O-Seher Kis Ka Hai

Tareekh De Rahi Hai

Tareekh De Rahi Hai Ye Awaaz Dum Ba Dum
Dasht-E-Sabat-O-Azm Hai Dast-E-Bala-O-Gham
Sabr-E-Maseeh Wa Jura?at Suqraat Ki Qasam
Is Rah Main Hai Sirf Ek Insaan Ka Qadam
Jis Ki Rago?n Mein Aatish-E-Badr-O-Hunain Hai
Us Soorma Ka Isme Girami HUSSAIN Hai

Sajday se karbala

Sajday se karbala Ko Bandagi Mil Gai
Sabar Se Ummat Ko Zindagi Mil Gai
Ek Chamman FATIMA(S.A) Ka Ujra
Magar Sarey Islam Ko Zindagi Mil Gai

Karbala Walon K Naam

Jin K Sajdo?n Se Munawar Hai Jabeen-e-Aftab
Mere Harfo?n Ki Ibadat Un Khuda Walo?n K Naam
Meri Sheh-rug Ka Lahoo, Nazar-e-Shaheedan-e-Wafaa
Mere Jazbo?n ki Aqeedat Karbala Walon K Naam..

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari

Tere Dil Main Kaisi Girah Pari Tujhay Us Se Itna Hasad Hai Kyun?
Jo Nabi(S.A.W.) Ki Aankh Ka Noor Hai Jo Ali Ki Rooh Ka Chain Hai
Kabhi Dekh Apne Khameer Main Kabhi Pooch Apne Zameer Se
Wo Jo Mit Gaya Wo Yazeed Tha, Jo Na Mit Saka Woh Hussain Hai

Kuch Barhami Hai Zara

Kuch Barhami Hai Zara Is Noor-E-Ain Main
Milta Hai Iztiraab Yunhi Dil K Chain Main
Selaab Dekhta Hoon Tou Ata Hai Ye Khyal
Pani Bhatak Raha Hai Talash-E-HUSAIN Main


Ek Din Barray Ghroor

Ek Din Barray Ghroor Se Kehnay Lagi Zameen
Aya Meray Naseeb Mein Parchum HUSSAIN Ka
Phir Chand Ne Kaha Mere Seenay K Daagh Dekh
Hota Hai Aasmaan Pe Bhi Maatam HUSSAIN Ka

Maut K Darya

Maut K Darya Main Har Ek Khushk-o-Tar Reh Jayega
Haan Faqat Naam-e-Hussain Ibn-e-Ali Reh Jayega

Deta KHUDA Zroor Hai

Leta Tamaam Kaam Woh Apy WALI Se Hai
Nisbat Har Ek IMAM Ko NOOR-E-JALI Se Hai
Kul Ikhtiyaar Se Diye HASSAN O HUSSAIN Ko
Deta KHUDA Zroor Hai Milta ALI Se Hai

Leta Tamamm Kaam Wo Apne

Leta Tamaam Kaam Woh Apne Wali Se Hy
Nisbat Har Aik Imam Ki Noor-e-Jali Se Hay
Kul Akhtiyaar De Diya HASSAN-o-HUSSAIN Ko
Daita Khuda Zaroor Hay Par Milta ALI Say Hay

Ye Nazam Hai Ke Bila Gul Bahar

Ye Nazam hai k bila Gul bahaar ,baagh nahi
Jab hi tu Daman e Qudrat pe koi Daagh nahi
Ali a.s na atay Harum mai tu HAQ se khete Khalil
k Ghar tu App ne banwalia likin Chiragh nahi

Fiza-e jannat main bhi hamaisha

Fiza-e jannat main bhi hamaisha nasheest un hi saji rehay gi
tamam ahlay wila ka mirkaz NABI(PBUH) ki bara dari rehay gi
jo phool shakhoon say gir bhi jain to un say khushbo juda na ho gi
jo hum marain bhi to zehan o dil main ALI(A.S) KI KHUSHBO BASI REHAY GI

Meezan e jahalat main gohar tol raha hai

Meezan e jahalat main gohar tol raha hai
pemanaye tableegh main sab ghol raha hai
gar Ya Ali kehne pe koi toke to samjho
shaitan ki mehfil se koi bol raha hai

Hai Poori Kainat mE Hukumat

Hay Pori Kayanat Mein Hakoomat HUSSAIN Ki
Wajib Hy Momino Pe Muhabbat HUSSAIN Ki
Dozakh Se Uth Ke Wadi-e-Jannat Mein Aa Gia
HUR Par JO Pari Sham-e-Enayat HUSSAIN Ki

Ye Ikhtiyar Kitna Wasee o Buland Hai

Ye Ikhtyar Kitna Wasee o Buland Hy
Sara Jahan HUSSAIN Ki Muthi Main Band Hy
Badla Hy Karbala Main Taqaza-e-Inqilaab
Naizey Pe Ab Jo Sir Hy, Wohi Sir Buland Hy
Aiwan e Intesaab Main Jannat Na Kar Talash
Ye Tu Ghum-e-HUSSAIN K Aansoun Main Band Hy

Apni Jannat ko Zara Aur Sajale

Apni Jannat Ko Zara Aur Saja Le Rizwan!!!!
Is Se Acha To Merey Ghar Ka Azaa Khana Hy
Zid Na Kar Tu Mujhe Firdos Main Le Janey Ki
Rasta Chor !!! Mujhe Karb-o-Bala Jana Hay

ShiaLink

place holder