Go to ShiaDuas.com


Ali a.s ka hath

Mizane adalat ka sahara ALI a.s ka hath
Insafe Mashiyat ka sarapa ALI a.s ka hath

Bin baap ke bachhon ko akela na samajhna
Rehta hai har yatim ke sir pa ALI a.s ka hath

Fauje sitam ke paaon ukhadte nazar aaye
Jab tegh bakaf jung me uthha ALI a.s ka hath

Taron ki hain NAJAF me qataren lagi hui
Taqsim kar raha hai ujala ALI a.s ka hath

Puchha jo dil ne kaun khilata hai rotiyan
Besakhta zaban pe aya ALI a.s ka hath

Sadiyon tha intezar me ALLAH swt ka Haram
Chumega aj khanaye Kaaba ALI a.s ka hath

Aqa HUSAIN a.s aapka bachpan hai lajawaab
Naaqa Nabi s.w ki pusht hai jhoola ALI a.s ka hath

Naara laga jo hazrate ABBAS a.s ka kabhi
Hamraah Azadaar ke uthha ALI a.s ka hath

Tanhaai Murtuza a.s ki bhala kaun baan't'ta
Gar thaamti na FATIMA ZEHRA a.s ALI a.s ka hath

Badhkar nikal qalb e pisar se sina HUSAIN a.s
Thame hai tere hath ko beta ALI a.s ka hath

Jhukte hain jo HUSAIN a.s ke dar par sada Urooj
Rehta hai un saron pe hamesha ALI a.s ka hath

Unknown

place holder